Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo nigahen kya kahun kyun kar rag-e-jaan ho gain

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

wo nigahen kya kahun kyun kar rag-e-jaan ho gain

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    vo nigāheñ kyā kahūñ kyuuñ kar rag-e-jāñ ho ga.iiñ

    dil meñ nashtar ban ke Dūbīñ aur pinhāñ ho ga.iiñ

    thiiñ jo kal tak jalva-afrozī se sham-e-anjuman

    aaj vo shakleñ charāġh-e-zer-e-dāmāñ ho ga.iiñ

    ik nazar ghabrā ke apnī taraf us shoḳh ne

    hastiyāñ jab miT ke ajzā-e-pareshāñ ho ga.iiñ

    dam rukā thā jis uljhan se mire siine meñ aah

    phir vahī zulfeñ mire ġham meñ pareshāñ ho ga.iiñ

    phūñk ik ruuh dekhā zor-e-ejāz-e-junūñ

    jitnī sāñseñ maiñ ne liiñ tār-e-garebāñ ho ga.iiñ

    ishq ke qisse ko ham saada samajhte the magar

    jab varaq ulTe to āñkheñ saḳht hairāñ ho ga.iiñ

    chand tasvīreñ mirī jo muḳhtalif vaqtoñ thiiñ

    ba.ad mere zīnat-e-dīvār-e-zindāñ ho ga.iiñ

    uḌ ke dil ḳhaak ke zarre ga.e jis jis taraf

    rafta rafta vo zamīneñ sab bayābāñ ho ga.iiñ

    aa.ine meñ aks hai aur aks meñ jazb-e-ḳhalish

    dil meñ jo fāñseñ chubhīñ tasvīr-e-mizgāñ ho ga.iiñ

    us shām-e-ġham pe sadqe ho mirī sub.h-e-hayāt

    jis ke mātam meñ tirī zulfeñ pareshāñ ho ga.iiñ

    shām-e-va.ada aa.iye to aap us fikr kyā

    phir banā dūñgā agar zulfeñ pareshāñ ho ga.iiñ

    kis dil-āvāra mayyat ghar se niklī hai 'azīz'

    shahr ābād rāheñ aaj vīrāñ ho ga.iiñ

    wo nigahen kya kahun kyun kar rag-e-jaan ho gain

    dil mein nashtar ban ke Dubin aur pinhan ho gain

    thin jo kal tak jalwa-afrozi se sham-e-anjuman

    aaj wo shaklen charagh-e-zer-e-daman ho gain

    ek nazar ghabra ke ki apni taraf us shoKH ne

    hastiyan jab miT ke ajza-e-pareshan ho gain

    dam ruka tha jis ki uljhan se mere sine mein aah

    phir wahi zulfen mere gham mein pareshan ho gain

    phunk di ek ruh dekha zor-e-ejaz-e-junun

    jitni sansen main ne lin tar-e-gareban ho gain

    ishq ke qisse ko hum sada samajhte the magar

    jab waraq ulTe to aankhen saKHt hairan ho gain

    chand taswiren meri jo muKHtalif waqton ki thin

    baad mere zinat-e-diwar-e-zindan ho gain

    uD ke dil ki KHak ke zarre gae jis jis taraf

    rafta rafta wo zaminen sab bayaban ho gain

    aaine mein aks hai aur aks mein jazb-e-KHalish

    dil mein jo fansen chubhin taswir-e-mizgan ho gain

    us ki sham-e-gham pe sadqe ho meri subh-e-hayat

    jis ke matam mein teri zulfen pareshan ho gain

    sham-e-wada aaiye to aap us ki fikr kya

    phir bana dunga agar zulfen pareshan ho gain

    kis dil-awara ki mayyat ghar se nikli hai 'aziz'

    shahr ki aabaad rahen aaj viran ho gain

    Source :
    • Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now