wo numayan hai yun hazaron mein
vo numāyāñ hai yuuñ hazāroñ meñ
jis tarah chāñd ho sitāroñ meñ
jalva-e-yār kis tarah dekhūñ
merī nazreñ haiñ gum nazāroñ meñ
ai bahāroñ ke lūTne vaalo
tum bhī kho jāoge bahāroñ meñ
dostī rah ga.ī hai matlab kī
ab kahāñ hai ḳhulūs yāroñ meñ
koī samjhā koī nahīñ samjhā
baat vo kah ga.e ishāroñ meñ
terī taqrīr sun ke ai vaa.iz
khalbalī hai gunāhgāroñ meñ
din meñ ḳhurshīd jab chamaktā hai
phir nahīñ rahtī zau sitāroñ meñ
aur to kuchh nahīñ 'azīz' magar
ham bhī shāmil haiñ bāda-ḳhvāroñ meñ
wo numayan hai yun hazaron mein
jis tarah chand ho sitaron mein
jalwa-e-yar kis tarah dekhun
meri nazren hain gum nazaron mein
ai bahaaron ke luTne walo
tum bhi kho jaoge bahaaron mein
dosti rah gai hai matlab ki
ab kahan hai KHulus yaron mein
koi samjha koi nahin samjha
baat wo kah gae ishaaron mein
teri taqrir sun ke ai waiz
khalbali hai gunahgaron mein
din mein KHurshid jab chamakta hai
phir nahin rahti zau sitaron mein
aur to kuchh nahin 'aziz' magar
hum bhi shamil hain baada-KHwaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.