wo nur-e-subh-e-tilismi hamare ghar mein gira
vo nūr-e-sub.h-e-tilismī hamāre ghar meñ girā
añdherā aur ghanā kāsa-e-sahar meñ girā
ye raushnī kī virāsat ḳharīdtā kaise
hamesha sikka-e-shab hī mire khañDar meñ girā
maiñ us ko DhūñD rahā huuñ magar pata hī nahīñ
kahāñ ye zād-e-safar garmī-e-safar meñ girā
na jaane kaun sā sūraj dahak rahā hai yahāñ
nafas se jis ke harā peḌ dopahar meñ girā
añdherā chhā gayā har samt daf.atan 'ātish'
sharār-e-sang sar-e-ḳhitta-e-nazar meñ girā
wo nur-e-subh-e-tilismi hamare ghar mein gira
andhera aur ghana kasa-e-sahar mein gira
ye raushni ki wirasat KHaridta kaise
hamesha sikka-e-shab hi mere khanDar mein gira
main us ko DhunD raha hun magar pata hi nahin
kahan ye zad-e-safar garmi-e-safar mein gira
na jaane kaun sa suraj dahak raha hai yahan
nafas se jis ke hara peD dopahar mein gira
andhera chha gaya har samt dafatan 'atish'
sharar-e-sang sar-e-KHitta-e-nazar mein gira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.