wo pas aae to dil be-qarar hone laga
vo paas aa.e to dil be-qarār hone lagā
sukūn-e-dil kā mire intishār hone lagā
hai raaz kyā ai mohabbat batā de ham ko zarā
qarīb aane pe kyuuñ intizār hone lagā
zarā samajhne de saaqī ye mājrā kyā hai
ki jaam piine se pahle ḳhumār hone lagā
phir āsmān-e-muqaddar pe koī halchal hai
ki nā-gahāñ mire dil pe ġhubār hone lagā
kabhī vo aa bhī sakeñge hameñ yaqīñ to na thā
mile jo ḳhvāb meñ kuchh e'tibār hone lagā
kiyā jo yaad unheñ aa ga.e tasavvur meñ
hai sher kuchh to hameñ iḳhtiyār hone lagā
bahār hai ki ḳhizāñ 'shauq' ham yahī jaane
ki un ke aane se rañg-o-bahār hone lagā
wo pas aae to dil be-qarar hone laga
sukun-e-dil ka mere intishaar hone laga
hai raaz kya ai mohabbat bata de hum ko zara
qarib aane pe kyun intizar hone laga
zara samajhne de saqi ye majra kya hai
ki jam pine se pahle KHumar hone laga
phir aasman-e-muqaddar pe koi halchal hai
ki na-gahan mere dil pe ghubar hone laga
kabhi wo aa bhi sakenge hamein yaqin to na tha
mile jo KHwab mein kuchh e'tibar hone laga
kiya jo yaad unhen aa gae tasawwur mein
hai sher kuchh to hamein iKHtiyar hone laga
bahaar hai ki KHizan 'shauq' hum yahi jaane
ki un ke aane se rang-o-bahaar hone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.