wo pahle fikr ko harf-e-kamal deta hai
vo pahle fikr ko harf-e-kamāl detā hai
phir āgahī se suḳhan ko ujaal detā hai
mujhī ko log bahut saḳht-jāñ samajhte haiñ
mujhī pe har koī patthar uchhāl detā hai
vo aks ban ke utartā hai jab bhī āñkhoñ meñ
tamām aa.ine dil ke ujaal detā hai
mohabbatoñ kā use merī e'tibār nahīñ
magar raqīboñ ko merī misāl detā hai
kisī ko phuul se lagte haiñ ishq meñ patthar
kisī ko tesha bhī shauq-e-visāl detā hai
'suḳhan' hayāt meñ kuchh aise moḌ aate haiñ
har ek lamha ḳhushī kā malāl detā hai
wo pahle fikr ko harf-e-kamal deta hai
phir aagahi se suKHan ko ujal deta hai
mujhi ko log bahut saKHt-jaan samajhte hain
mujhi pe har koi patthar uchhaal deta hai
wo aks ban ke utarta hai jab bhi aankhon mein
tamam aaine dil ke ujal deta hai
mohabbaton ka use meri e'tibar nahin
magar raqibon ko meri misal deta hai
kisi ko phul se lagte hain ishq mein patthar
kisi ko tesha bhi shauq-e-visal deta hai
'suKHan' hayat mein kuchh aise moD aate hain
har ek lamha KHushi ka malal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.