wo pahle soch len khilti hui kali kya hai
vo pahle soch leñ khiltī huī kalī kyā hai
jo sochte haiñ ki tarkīb-e-zindagī kyā hai
kidhar hai ġhairat-e-ġham kuchh mujhe sahārā de
vo mujh se pūchh rahe haiñ tirī ḳhushī kyā hai
vafā kā raaz na samjhā sakā koī ab tak
ki us kī kyā hai haqīqat ye vāqa.ī kyā hai
yahī to hotī hai saare ruḳhoñ kā ā.īna
koī samajh ke to dekhe ki be-ruḳhī kyā hai
dam-e-aḳhīr hai kis kā ḳhayāl jalva-faroz
ye merī maut kī had meñ hayāt sī kyā hai
darāz umr ho ai jiine vaale terī magar
jo sirf apne liye ho vo zindagī kyā hai
na jaane kyā ho ki merī hī raushnī meñ shifā
ḳhudī ye soch rahī hai ki be-ḳhudī kyā hai
wo pahle soch len khilti hui kali kya hai
jo sochte hain ki tarkib-e-zindagi kya hai
kidhar hai ghairat-e-gham kuchh mujhe sahaara de
wo mujh se puchh rahe hain teri KHushi kya hai
wafa ka raaz na samjha saka koi ab tak
ki us ki kya hai haqiqat ye waqai kya hai
yahi to hoti hai sare ruKHon ka aaina
koi samajh ke to dekhe ki be-ruKHi kya hai
dam-e-aKHir hai kis ka KHayal jalwa-faroz
ye meri maut ki had mein hayat si kya hai
daraaz umr ho ai jine wale teri magar
jo sirf apne liye ho wo zindagi kya hai
na jaane kya ho ki meri hi raushni mein shifa
KHudi ye soch rahi hai ki be-KHudi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.