wo pahli si mujh par inayat nahin hai
vo pahlī sī mujh par ināyat nahīñ hai
mujhe phir bhī tum se shikāyat nahīñ hai
unheñ rahm karne kī aadat nahīñ hai
mirī ashk-rezī kī ḳhaslat nahīñ hai
nazar se pilānā hī kaafī hai saaqī
mujhe jaam kī ab zarūrat nahīñ hai
guzartī hai kaise mirī zindagānī
zabāñ se kaho kaise tāqat nahīñ hai
mulāqāt yuuñ to vo karte haiñ mujh se
magar vālihāna mohabbat nahīñ hai
madad chāhiye sirf ham ko ḳhudā kī
kisī ġhair kī mujh ko hājat nahīñ hai
muqaddar ne jab se kiyā duur tum se
usī vaqt se dil ko rāhat nahīñ hai
ḳhudā jaane gulshan meñ kyā ho gayā hai
vo pahlī sī phūloñ meñ rangat nahīñ hai
nazar pher kar is tarah chal diye vo
ki 'rāhī' se jaise mohabbat nahīñ hai
wo pahli si mujh par inayat nahin hai
mujhe phir bhi tum se shikayat nahin hai
unhen rahm karne ki aadat nahin hai
meri ashk-rezi ki KHaslat nahin hai
nazar se pilana hi kafi hai saqi
mujhe jam ki ab zarurat nahin hai
guzarti hai kaise meri zindagani
zaban se kaho kaise taqat nahin hai
mulaqat yun to wo karte hain mujh se
magar walihana mohabbat nahin hai
madad chahiye sirf hum ko KHuda ki
kisi ghair ki mujh ko hajat nahin hai
muqaddar ne jab se kiya dur tum se
usi waqt se dil ko rahat nahin hai
KHuda jaane gulshan mein kya ho gaya hai
wo pahli si phulon mein rangat nahin hai
nazar pher kar is tarah chal diye wo
ki 'rahi' se jaise mohabbat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.