wo pahli si raunaq chaman mein kahan hai
vo pahlī sī raunaq chaman meñ kahāñ hai
yahāñ har taraf bas dhuāñ hī dhuāñ hai
nahīñ koī merā yahāñ ham-zabāñ hai
yahāñ har koī mujh se bas bad-gumāñ hai
mujhe āshiyāñ kī zarūrat kahāñ hai
mirā āshiyāñ to ye saarā jahāñ hai
tū hī rāhbar hai tū hī pāsbāñ hai
luTeroñ kī zad meñ mirā kārvāñ hai
kaḌī dhuup meñ jaise vo sā.ebāñ hai
mirī maañ mirī jaan ārām-e-jāñ hai
haqīqat vo mujh se chhupā.egī kab tak
nigāhoñ meñ us kī mohabbat 'ayāñ hai
safar kī tavālat kā mujh ko nahīñ Dar
abhī hausla merā 'ash.har' javāñ hai
wo pahli si raunaq chaman mein kahan hai
yahan har taraf bas dhuan hi dhuan hai
nahin koi mera yahan ham-zaban hai
yahan har koi mujh se bas bad-guman hai
mujhe aashiyan ki zarurat kahan hai
mera aashiyan to ye sara jahan hai
tu hi rahbar hai tu hi pasban hai
luTeron ki zad mein mera karwan hai
kaDi dhup mein jaise wo saeban hai
meri man meri jaan aaram-e-jaan hai
haqiqat wo mujh se chhupaegi kab tak
nigahon mein us ki mohabbat 'ayan hai
safar ki tawalat ka mujh ko nahin Dar
abhi hausla mera 'ashhar' jawan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.