wo pareshani sar-e-dasht-e-adam hai hum ko
vo pareshānī sar-e-dasht-e-adam hai ham ko
bāġh-e-rizvān bhī mil jaa.e to kam hai ham ko
ab bhī dil meñ tire hone kā gumāñ baaqī hai
TūTte bante irādoñ kī qasam hai ham ko
is ko kahte haiñ miyāñ zaḳhm kā taaza honā
vo kisī aur se bichhḌā hai to ġham hai ham ko
tujh se yuuñ māñgte haiñ terā bharam rah jaa.e
varna har chiiz mohabbat meñ baham hai ham ko
tire aane pe koī radd-e-amal kyā dete
ye ḳhushī itnī ziyāda hai na kam hai ham ko
wo pareshani sar-e-dasht-e-adam hai hum ko
bagh-e-rizwan bhi mil jae to kam hai hum ko
ab bhi dil mein tere hone ka guman baqi hai
TuTte bante iradon ki qasam hai hum ko
is ko kahte hain miyan zaKHm ka taza hona
wo kisi aur se bichhDa hai to gham hai hum ko
tujh se yun mangte hain tera bharam rah jae
warna har chiz mohabbat mein baham hai hum ko
tere aane pe koi radd-e-amal kya dete
ye KHushi itni ziyaada hai na kam hai hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.