wo pari-ru is qadar shola-fishan hai bazm main
vo parī-rū is qadar sho'la-fishāñ hai bazm maiñ
dil nahīñ ḳhud ātish-e-tāq-e-farozāñ jal gayā
haa.e ham jalte rahe yuuñ muddatoñ tere jilau
tū ba-vaj.h-e-jumbish-e-betāb-e-tābāñ jal gayā
jāntā huuñ hai muqaddar furqat-o-ġham har ghaḌī
terī bazm-e-nāz meñ phir sham’-e-giryāñ jal gayā
jal rahe haiñ roz-o-shab shām-o-sahar sadiyāñ huiiñ
dekhte hī dekhte sab naqsh-e-jānāñ jal gayā
koī jaltā hai tamāshā ban ke us kī bazm meñ
maiñ ġharīb-e-shahr thā pinhāñ kā pinhāñ jal gayā
kyā hai qaid-e-bā-mashaqqat kyā rihā.ī kyā sazā
ye vujūd-e-be-zabāñ thā pā-ba-jaulāñ jal gayā
hai sukūt-e-dil-girafta har taraf chhāyā huā
jab se nāz-e-mīr-e-jānāñ shauq-e-raqsāñ jal gayā
jab ye pūchhā sāda-lauhoñ par hai kyoñ zulm-o-sitam
muskurāyā vo sitamgar dil kā sāmāñ jal gayā
'ishq kī duniyā hai ḳhāmoshī se jalnā dam-ba-dam
vo sarāpā shor-o-ġhauġhā dekh sozāñ jal gayā
haa.e ye jalnā hī kyā qismat mirī chāroñ pahar
maiñ dam-e-bīm-o-rajā maġhlūb-e-hijrāñ jal gayā
haiñ tire dāman meñ pinhāñ saikḌoñ ḳhvāboñ ke qatl
aur ik mazlūm vo thā gul-ba-dāmāñ jal gayā
haa.e ab 'āhan' kī duniyā phir ujaḌ kar rah ga.ī
phir ye shādābī jahāñ kī dekh jānāñ jal gayā
wo pari-ru is qadar sho'la-fishan hai bazm main
dil nahin KHud aatish-e-taq-e-farozan jal gaya
hae hum jalte rahe yun muddaton tere jilau
tu ba-wajh-e-jumbish-e-betab-e-taban jal gaya
jaanta hun hai muqaddar furqat-o-gham har ghaDi
teri bazm-e-naz mein phir sham’-e-giryan jal gaya
jal rahe hain roz-o-shab sham-o-sahar sadiyan huin
dekhte hi dekhte sab naqsh-e-jaanan jal gaya
koi jalta hai tamasha ban ke us ki bazm mein
main gharib-e-shahr tha pinhan ka pinhan jal gaya
kya hai qaid-e-ba-mashaqqat kya rihai kya saza
ye wujud-e-be-zaban tha pa-ba-jaulan jal gaya
hai sukut-e-dil-girafta har taraf chhaya hua
jab se naz-e-mir-e-jaanan shauq-e-raqsan jal gaya
jab ye puchha sada-lauhon par hai kyon zulm-o-sitam
muskuraya wo sitamgar dil ka saman jal gaya
'ishq ki duniya hai KHamoshi se jalna dam-ba-dam
wo sarapa shor-o-ghaugha dekh sozan jal gaya
hae ye jalna hi kya qismat meri chaaron pahar
main dam-e-bim-o-raja maghlub-e-hijran jal gaya
hain tere daman mein pinhan saikDon KHwabon ke qatl
aur ek mazlum wo tha gul-ba-daman jal gaya
hae ab 'ahan' ki duniya phir ujaD kar rah gai
phir ye shadabi jahan ki dekh jaanan jal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.