wo pari-zad hai ye sab ko dikhana tha mujhe
vo parī-zād hai ye sab ko dikhānā thā mujhe
sirf ik baar use haath lagānā thā mujhe
ye to merā hī hunar thā jise iz.hār milā
varna murshid ne kahāñ ism sikhānā thā mujhe
is liye bhī maiñ bahut der se pahuñchā tujh tak
apne qadmoñ kā har ik naqsh miTānā thā mujhe
apnī tairākī bhī karnī thī sabhī par sābit
aur phir ḳhud ko bhī lahroñ se bachānā thā mujhe
maiñ kahānī ko sunāte hue ḳhud hī royā
jab ki qisse ke muḳhātab ko rulānā thā mujhe
ek hī ashk bachā rakhā thā maiñ ne āḳhir
aur usī ashk ko din raat bahānā thā mujhe
merī shohrat ke taqāze hī alag the 'tābish'
gum-shuda rahte hue naam kamānā thā mujhe
wo pari-zad hai ye sab ko dikhana tha mujhe
sirf ek bar use hath lagana tha mujhe
ye to mera hi hunar tha jise izhaar mila
warna murshid ne kahan ism sikhana tha mujhe
is liye bhi main bahut der se pahuncha tujh tak
apne qadmon ka har ek naqsh miTana tha mujhe
apni tairaki bhi karni thi sabhi par sabit
aur phir KHud ko bhi lahron se bachana tha mujhe
main kahani ko sunate hue KHud hi roya
jab ki qisse ke muKHatab ko rulana tha mujhe
ek hi ashk bacha rakha tha main ne aaKHir
aur usi ashk ko din raat bahana tha mujhe
meri shohrat ke taqaze hi alag the 'tabish'
gum-shuda rahte hue nam kamana tha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.