wo pashiman-e-sitam ho ye zaruri to nahin
vo pashīmān-e-sitam ho ye zarūrī to nahīñ
mere ġham kā use ġham ho ye zarūrī to nahīñ
aur pahlū bhī haiñ iz.hār-e-shikast-e-dil ke
aañkh ā.īna-e-ġham ho ye zarūrī to nahīñ
jāda-e-dair-o-haram meñ bhī jabīñ kī qismat
aap kā naqsh-e-qadam ho ye zarūrī to nahīñ
tark-e-ulfat to kiyā hai tirī ḳhātir ham ne
ab tirī yaad bhī kam ho ye zarūrī to nahīñ
laakh āsā.ish-e-duniyā ho mayassar phir bhī
dil ko taskīn baham ho ye zarūrī to nahīñ
merā mahbūb-e-nazar aur mirā masjūd-e-ḳhayāl
koī patthar kā sanam ho ye zarūrī to nahīñ
sajda-e-dil tirī chaukhaT kā tamannā.ī hai
har jagah sar mirā ḳham ho ye zarūrī to nahīñ
ishq pāband-e-vafā ho ye zarūrī hai magar
husn majbūr-e-karam ho ye zarūrī to nahīñ
naġhma-o-sher ke parde meñ mire lab pe 'tufail'
merī rūdād-e-alam ho ye zarūrī to nahīñ
wo pashiman-e-sitam ho ye zaruri to nahin
mere gham ka use gham ho ye zaruri to nahin
aur pahlu bhi hain izhaar-e-shikast-e-dil ke
aankh aaina-e-gham ho ye zaruri to nahin
jada-e-dair-o-haram mein bhi jabin ki qismat
aap ka naqsh-e-qadam ho ye zaruri to nahin
tark-e-ulfat to kiya hai teri KHatir hum ne
ab teri yaad bhi kam ho ye zaruri to nahin
lakh aasaish-e-duniya ho mayassar phir bhi
dil ko taskin baham ho ye zaruri to nahin
mera mahbub-e-nazar aur mera masjud-e-KHayal
koi patthar ka sanam ho ye zaruri to nahin
sajda-e-dil teri chaukhaT ka tamannai hai
har jagah sar mera KHam ho ye zaruri to nahin
ishq paband-e-wafa ho ye zaruri hai magar
husn majbur-e-karam ho ye zaruri to nahin
naghma-o-sher ke parde mein mere lab pe 'tufail'
meri rudad-e-alam ho ye zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.