wo pathrai si aankhon ko bhi kajal bhej deta hai
vo pathrā.ī sī āñkhoñ ko bhī kājal bhej detā hai
sulagtī dopahar meñ jaise bādal bhej detā hai
maiñ apne sab masā.il bas usī par chhoḌ detā huuñ
mire uljhe masā.il kā vahī hal bhej detā hai
jahāñ vaale use jab yaad karnā bhuul jaate haiñ
zamīnoñ kī tahoñ meñ koī halchal bhej detā hai
jahāñ ahl-e-ḳhirad tevar badal kar baat karte haiñ
vo ibrat ke liye do chaar pāgal bhej detā hai
hamāre aaj kī jab koshisheñ nākām hotī haiñ
hameñ vo ek aur ummīd kā kal bhej detā hai
wo pathrai si aankhon ko bhi kajal bhej deta hai
sulagti dopahar mein jaise baadal bhej deta hai
main apne sab masail bas usi par chhoD deta hun
mere uljhe masail ka wahi hal bhej deta hai
jahan wale use jab yaad karna bhul jate hain
zaminon ki tahon mein koi halchal bhej deta hai
jahan ahl-e-KHirad tewar badal kar baat karte hain
wo ibrat ke liye do chaar pagal bhej deta hai
hamare aaj ki jab koshishen nakaam hoti hain
hamein wo ek aur ummid ka kal bhej deta hai
- Book : Loban (Pg. 31)
- Author : Nadeem Farrukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.