wo peD jis mein ki phal rahe hain
vo peḌ jis meñ ki phal rahe haiñ
usī kī jānib uchhal rahe haiñ
qadam qadam par hai ḳhatra jaañ kā
qadam qadam par sañbhal rahe haiñ
rahe salāmat ye sar hamārā
tirī galī se nikal rahe haiñ
sunā.ī jab bhī kahānī apnī
tumhāre māthe pe bal rahe haiñ
ḳhayāl tere base haiñ dil meñ
vo she.rī paikar meñ Dhal rahe haiñ
qadam milā kar na chal sake jo
vo apne hāthoñ ko mal rahe haiñ
jinheñ biThāyā hai sar pe maiñ ne
vo naam se mere jal rahe haiñ
zarūr ik din Daseñge tum ko
jo āstīnoñ meñ pal rahe haiñ
wo peD jis mein ki phal rahe hain
usi ki jaanib uchhal rahe hain
qadam qadam par hai KHatra jaan ka
qadam qadam par sanbhal rahe hain
rahe salamat ye sar hamara
teri gali se nikal rahe hain
sunai jab bhi kahani apni
tumhaare mathe pe bal rahe hain
KHayal tere base hain dil mein
wo sheri paikar mein Dhal rahe hain
qadam mila kar na chal sake jo
wo apne hathon ko mal rahe hain
jinhen biThaya hai sar pe main ne
wo nam se mere jal rahe hain
zarur ek din Dasenge tum ko
jo aastinon mein pal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.