wo phaile sahraon ki jahan-baniyan kahan hain
vo phaile sahrāoñ kī jahāñ-bāniyāñ kahāñ haiñ
ye sab to ghar jaisā hai vo vīrāniyāñ kahāñ haiñ
vahī ummīdeñ shikast-e-dil kī vahī kahānī
vo jāñ-ba-kaf dostoñ kī qurbāniyāñ kahāñ haiñ
sulag rahe haiñ zamīñ zamāñ phir bhī pūchhte ho
sharar-faroshoñ kī qahr-sāmāniyāñ kahāñ haiñ
qadam qadam par fareb pag pag nukīle kāñTe
chaman tak aane kī ab vo āsāniyāñ kahāñ haiñ
'razā' ye mahfil to sard hī hotī jā rahī hai
kahāñ haiñ sham.eñ vo sho.ala-sāmāniyāñ kahāñ haiñ
wo phaile sahraon ki jahan-baniyan kahan hain
ye sab to ghar jaisa hai wo viraniyan kahan hain
wahi ummiden shikast-e-dil ki wahi kahani
wo jaan-ba-kaf doston ki qurbaniyan kahan hain
sulag rahe hain zamin zaman phir bhi puchhte ho
sharar-faroshon ki qahr-samaniyan kahan hain
qadam qadam par fareb pag pag nukile kanTe
chaman tak aane ki ab wo aasaniyan kahan hain
'raza' ye mahfil to sard hi hoti ja rahi hai
kahan hain shamen wo shoala-samaniyan kahan hain
- Book : Aiwan (Pg. 89)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.