wo phul jo muskura raha hai
vo phuul jo muskurā rahā hai
shāyad mirā dil jalā rahā hai
chhup kar koī dekhtā hai mujh ko
āñkhoñ meñ magar samā rahā hai
maiñ chāñd ke saath chal rahā huuñ
vo merī hañsī uḌā rahā hai
shāyad kisī daur meñ vafā thī
ye daur to bevafā rahā hai
sau rañg haiñ zindagī ke lekin
insān fareb khā rahā hai
tasvīr bane to mujh se kaise
har naqsh mujhe miTā rahā hai
jo lamha payām hai fanā kā
chup-chāp qarīb aa rahā hai
tūfāñ ne bhī aañkh khol dī hai
sāhil bhī nazar bachā rahā hai
fankār kahūñ use to kaise
taḳhlīq ko jo miTā rahā hai
taqdīr miTā chukī thī jis ko
tadbīr kā raaz pā rahā hai
āvāz se aag lag rahī hai
mutrib hai ki giit gā rahā hai
ehsās-e-shikast-o-kāmrānī
ā.īne ka.ī dikhā rahā hai
vo ḳhāk-nashīñ 'zafar' hai yaaro
jo sū-e-falak bhī jā rahā hai
wo phul jo muskura raha hai
shayad mera dil jala raha hai
chhup kar koi dekhta hai mujh ko
aankhon mein magar sama raha hai
main chand ke sath chal raha hun
wo meri hansi uDa raha hai
shayad kisi daur mein wafa thi
ye daur to bewafa raha hai
sau rang hain zindagi ke lekin
insan fareb kha raha hai
taswir bane to mujh se kaise
har naqsh mujhe miTa raha hai
jo lamha payam hai fana ka
chup-chap qarib aa raha hai
tufan ne bhi aankh khol di hai
sahil bhi nazar bacha raha hai
fankar kahun use to kaise
taKHliq ko jo miTa raha hai
taqdir miTa chuki thi jis ko
tadbir ka raaz pa raha hai
aawaz se aag lag rahi hai
mutrib hai ki git ga raha hai
ehsas-e-shikast-o-kaamrani
aaine kai dikha raha hai
wo KHak-nashin 'zafar' hai yaro
jo su-e-falak bhi ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.