wo pichhle moD par us raste se haT chuka tha
vo pichhle moḌ par us rāste se haT chukā thā
maiñ āñkheñ band kar ke jis ke pīchhe chal rahā thā
tashaḳhḳhus kho rahe the ham badalte pāniyoñ se
hamārā har tanā phailāo meñ ham se judā thā
mohabbat beach meñ dīvār aane se huī thī
ki ham donoñ kā qad dīvār se thoḌā baḌā thā
kisī ke ik qadam se rāstoñ ne samt paa.ī
kisī kī ik jhalak se puurā ā.īna banā thā
vo bāteñ ḳhatm hone par ḳhudā-hāfiz na kah de
maiñ bāteñ karte karte off-line ho gayā thā
añdherā baḌh rahā thā umr kī kachchī saḌak par
safar lāzim thā so raftār ko kam kar diyā thā
vo kamra thā ki vīrānī bharā siina thā 'hāris'
vo ik kone meñ baksā thā ki dil rakkhā huā thā
wo pichhle moD par us raste se haT chuka tha
main aankhen band kar ke jis ke pichhe chal raha tha
tashaKHKHus kho rahe the hum badalte paniyon se
hamara har tana phailao mein hum se juda tha
mohabbat beach mein diwar aane se hui thi
ki hum donon ka qad diwar se thoDa baDa tha
kisi ke ek qadam se raston ne samt pai
kisi ki ek jhalak se pura aaina bana tha
wo baaten KHatm hone par KHuda-hafiz na kah de
main baaten karte karte off-line ho gaya tha
andhera baDh raha tha umr ki kachchi saDak par
safar lazim tha so raftar ko kam kar diya tha
wo kamra tha ki virani bhara sina tha 'haaris'
wo ek kone mein baksa tha ki dil rakkha hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.