wo purana shajar gira na bhai
vo purānā shajar girā nā bha.ī
ik parinda thā uḌ gayā nā bha.ī
jurm kis kā hai kaun mujrim hai
mil rahī hai mujhe sazā nā bha.ī
tū ne talvār haath meñ kyoñ lī
tū kabūtar uḌā uḌā nā bha.ī
maiñ diyā huuñ ki raushnī bāñTūñ
tū havā hai to aazmā nā bha.ī
ik zamāna thā maiñ zamāna thā
ab zamāna badal gayā nā bha.ī
terā lashkar manāt-o-'uzzā kā
merā apnā hai ik ḳhudā nā bha.ī
ham ne dil meñ jise basāyā thā
āstīnoñ meñ pal rahā nā bha.ī
zindagī kyoñ sukūt-e-sāhil hai
phir koī mauj uThā uThā nā bha.ī
wo purana shajar gira na bhai
ek parinda tha uD gaya na bhai
jurm kis ka hai kaun mujrim hai
mil rahi hai mujhe saza na bhai
tu ne talwar hath mein kyon li
tu kabutar uDa uDa na bhai
main diya hun ki raushni banTun
tu hawa hai to aazma na bhai
ek zamana tha main zamana tha
ab zamana badal gaya na bhai
tera lashkar manat-o-'uzza ka
mera apna hai ek KHuda na bhai
hum ne dil mein jise basaya tha
aastinon mein pal raha na bhai
zindagi kyon sukut-e-sahil hai
phir koi mauj uTha uTha na bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.