wo puchhte hain ki main kya hun kya bana raha hun
vo pūchhte haiñ ki maiñ kyā huuñ kyā banā rahā huuñ
ġhazal ke ruup meñ chehra tirā banā rahā huuñ
har ik tarah se mukammal hai go tirī tasvīr
badal badal ke nayā zāviya banā rahā huuñ
abhī ḳhayāl ko vus'at nahīñ milī so maiñ
abhī ḳhayāl meñ tujh ko ḳhudā banā rahā huuñ
chahār samt mujhe kuchh nazar nahīñ aayā
isī liye to tujhe jā-ba-jā banā rahā huuñ
kashīd kar ke maiñ apne ḳhayāl ko mire dost
mohabbatoñ kā nayā silsila banā rahā huuñ
mire 'nadīm' tasavvur meñ tere hai hī nahīñ
baġhaur dekh jo manzar nayā banā rahā huuñ
wo puchhte hain ki main kya hun kya bana raha hun
ghazal ke rup mein chehra tera bana raha hun
har ek tarah se mukammal hai go teri taswir
badal badal ke naya zawiya bana raha hun
abhi KHayal ko wus'at nahin mili so main
abhi KHayal mein tujh ko KHuda bana raha hun
chahaar samt mujhe kuchh nazar nahin aaya
isi liye to tujhe ja-ba-ja bana raha hun
kashid kar ke main apne KHayal ko mere dost
mohabbaton ka naya silsila bana raha hun
mere 'nadim' tasawwur mein tere hai hi nahin
baghaur dekh jo manzar naya bana raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.