wo pyas ki ab bhej ghaTa chaaron taraf se
vo pyaas kī ab bhej ghaTā chāroñ taraf se
ai mere ḳhudā mere ḳhudā chāroñ taraf se
maiñ ne to pukārā thā kisī ek hī jānib
kyoñ lauT ke aa.ī hai sadā chāroñ taraf se
girnā hai magar yuuñ to nahīñ tum se girūñgā
yalġhār karo mujh pe zarā chāroñ taraf se
ho jaatī hai jab ret pe tasvīr mukammal
aa jaatī hai phir tez havā chāroñ taraf se
aane pe koī qaid na jaane pe hai bandish
is dil ko rakhā maiñ ne khulā chāroñ taraf se
bīmār tirā kal tire pahlū se uThā to
lagtā thā ki barsī hai shifā chāroñ taraf se
'sajjād' nikal jā.ūñ agar hadd-e-zamīñ se
tayyār hai khāne ko ḳhalā chāroñ taraf se
wo pyas ki ab bhej ghaTa chaaron taraf se
ai mere KHuda mere KHuda chaaron taraf se
main ne to pukara tha kisi ek hi jaanib
kyon lauT ke aai hai sada chaaron taraf se
girna hai magar yun to nahin tum se girunga
yalghaar karo mujh pe zara chaaron taraf se
ho jati hai jab ret pe taswir mukammal
aa jati hai phir tez hawa chaaron taraf se
aane pe koi qaid na jaane pe hai bandish
is dil ko rakha main ne khula chaaron taraf se
bimar tera kal tere pahlu se uTha to
lagta tha ki barsi hai shifa chaaron taraf se
'sajjad' nikal jaun agar hadd-e-zamin se
tayyar hai khane ko KHala chaaron taraf se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.