wo rabte bhi anokhe jo duriyan barten
vo rābte bhī anokhe jo dūriyāñ barteñ
vo qurbateñ bhī nirālī jo lams ko tarseñ
savāl ban ke sulagte haiñ raat bhar taare
kahāñ hai niiñd hamārī vo bas yahī pūchheñ
bulātā rahtā hai jañgal hameñ bahānoñ se
suneñ jo us kī to shāyad na phir kabhī lauTeñ
phisaltī jaatī hai hāthoñ se ret lamhoñ kī
kahāñ hai bas meñ hamāre ki ham use rokeñ
haqīqatoñ kā badalnā to ḳhvāb hai 'fikrī'
magar ye ḳhvāb hai aisā ki sab jise dekheñ
wo rabte bhi anokhe jo duriyan barten
wo qurbaten bhi nirali jo lams ko tarsen
sawal ban ke sulagte hain raat bhar tare
kahan hai nind hamari wo bas yahi puchhen
bulata rahta hai jangal hamein bahanon se
sunen jo us ki to shayad na phir kabhi lauTen
phisalti jati hai hathon se ret lamhon ki
kahan hai bas mein hamare ki hum use roken
haqiqaton ka badalna to KHwab hai 'fikri'
magar ye KHwab hai aisa ki sab jise dekhen
- Book : Aiwan (Pg. 36)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.