wo rahen jin se abhi tak nahin guzar mera
vo rāheñ jin se abhī tak nahīñ guzar merā
lagā huā hai inhīñ rāstoñ ko Dar merā
na jaane kaun thā jis ne mujhe bachāyā hai
mujhe ḳhabar bhī na thī jal rahā thā ghar merā
nahīñ hai bojh mire naam par manāsib kā
maiñ aadmī huuñ ta.āruf hai muḳhtasar merā
gañvā ke zaat ko laayā huuñ zindagī kī ḳhabar
mirī suno ki havāla hai mo'tabar merā
bhaTak rahā huuñ abhī zindagī ke sahrā meñ
ḳhabar nahīñ ki kahāñ ḳhatm ho safar merā
wo rahen jin se abhi tak nahin guzar mera
laga hua hai inhin raston ko Dar mera
na jaane kaun tha jis ne mujhe bachaya hai
mujhe KHabar bhi na thi jal raha tha ghar mera
nahin hai bojh mere nam par manasib ka
main aadmi hun taaruf hai muKHtasar mera
ganwa ke zat ko laya hun zindagi ki KHabar
meri suno ki hawala hai mo'tabar mera
bhaTak raha hun abhi zindagi ke sahra mein
KHabar nahin ki kahan KHatm ho safar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.