wo rabt-e-bahami nahin wo pyar bhi nahin
wo rabt-e-bahami nahin wo pyar bhi nahin
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
vo rabt-e-bāhamī nahīñ vo pyaar bhī nahīñ
pahlī sī vo nigāh-e-tarahdār bhī nahīñ
ab haal dil kā lā.eq-e-iz.hār bhī nahīñ
jiite haiñ aur jiine ke āsār bhī nahīñ
har-har nafas meñ ziist ke hai ārzū-e-shauq
kam dilkashī meñ ishq kā āzār bhī nahīñ
thī jaan ik amānat-e-yār us ko sauñp dī
ab zindagī ke dosh pe ye baar bhī nahīñ
is daur kī ajiib hai tanzīm dosto
fankār vo banā hai jo fankār bhī nahīñ
daur-e-havas meñ koī bhī pursān-e-ġham nahīñ
apnoñ se kyā shikāyat-e-aġhyār bhī nahīñ
duniyā meñ ek terā sahārā hai ai ḳhudā
tanhā huuñ koī yār-o-madad-gār bhī nahīñ
haq baat 'dard' ahl-e-ḳhirad ko na ho qubūl
'ġhālib' ke log itne taraf-dār bhī nahīñ
wo rabt-e-bahami nahin wo pyar bhi nahin
pahli si wo nigah-e-tarahdar bhi nahin
ab haal dil ka laeq-e-izhaar bhi nahin
jite hain aur jine ke aasar bhi nahin
har-har nafas mein zist ke hai aarzu-e-shauq
kam dilkashi mein ishq ka aazar bhi nahin
thi jaan ek amanat-e-yar us ko saunp di
ab zindagi ke dosh pe ye bar bhi nahin
is daur ki ajib hai tanzim dosto
fankar wo bana hai jo fankar bhi nahin
daur-e-hawas mein koi bhi pursan-e-gham nahin
apnon se kya shikayat-e-aghyar bhi nahin
duniya mein ek tera sahaara hai ai KHuda
tanha hun koi yar-o-madad-gar bhi nahin
haq baat 'dard' ahl-e-KHirad ko na ho qubul
'ghaalib' ke log itne taraf-dar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.