wo rabt-e-bahami wo eatibar pyar na tha
vo rabt-e-bāhamī vo e.atibār pyaar na thā
jise maiñ yūñhī samajh baiThā pyaar pyaar na thā
mahīn lafzoñ kī sargoshiyāñ thiiñ vo kyā thiiñ
vo mujh ko sochnā dīvāna-vār pyaar na thā
vo giilī giilī havā aur dhulā dhulā mausam
barasnā āñkhoñ kā vo zār-zār pyaar na thā
tum apnī pichhlī mohabbat kā ġham bhulāne lagīñ
mujhe bhī lagne lagā pahlā pyaar pyaar na thā
larazte lab pe jo iqrār thā vo aur thā kuchh
tumhārī āñkhoñ meñ thā intizār pyaar na thā
wo rabt-e-bahami wo eatibar pyar na tha
jise main yunhi samajh baiTha pyar pyar na tha
mahin lafzon ki sargoshiyan thin wo kya thin
wo mujh ko sochna diwana-war pyar na tha
wo gili gili hawa aur dhula dhula mausam
barasna aankhon ka wo zar-zar pyar na tha
tum apni pichhli mohabbat ka gham bhulane lagin
mujhe bhi lagne laga pahla pyar pyar na tha
larazte lab pe jo iqrar tha wo aur tha kuchh
tumhaari aankhon mein tha intizar pyar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.