wo rang nahin shauq ka wo bas nahin hai
vo rang nahīñ shauq kā vo baas nahīñ hai
kuchh hai jo tujhe pā ke mire paas nahīñ hai
ik aa.ina hai aur do hairat-zada āñkheñ
chehra bhī koī dard kā akkās nahīñ hai
yā koī kamī hogī mire ġhuncha-e-dil meñ
yā mujh ko tirī āb-o-havā raas nahīñ hai
jo chāhe vahī mauj-e-havā likh ke chalī jaa.e
kuchh bhī ho ye dil kāġhaz-o-qirtās nahīñ hai
patthar se gurezāñ ho to ye soch lo pahle
dāman meñ koī reza-e-almās nahīñ hai
sahrā kabhī phūloñ se nahīñ māñgtā shabnam
pyāsā hai magar kahtā hai ab pyaas nahīñ hai
kuchh roz mire saath basar kar ke to dekho
phir shauq se kahnā mujhe ehsās nahīñ hai
ābād hai aur hai adam-ābād bhī duniyā
bastī meñ koī dūsrā ban-bās nahīñ hai
yā koī 'kafīl' ālam-e-barzaḳh hai zamīñ par
yā saañs faqat sūrat-e-anfās nahīñ hai
wo rang nahin shauq ka wo bas nahin hai
kuchh hai jo tujhe pa ke mere pas nahin hai
ek aaina hai aur do hairat-zada aankhen
chehra bhi koi dard ka akkas nahin hai
ya koi kami hogi mere ghuncha-e-dil mein
ya mujh ko teri aab-o-hawa ras nahin hai
jo chahe wahi mauj-e-hawa likh ke chali jae
kuchh bhi ho ye dil kaghaz-o-qirtas nahin hai
patthar se gurezan ho to ye soch lo pahle
daman mein koi reza-e-almas nahin hai
sahra kabhi phulon se nahin mangta shabnam
pyasa hai magar kahta hai ab pyas nahin hai
kuchh roz mere sath basar kar ke to dekho
phir shauq se kahna mujhe ehsas nahin hai
aabaad hai aur hai adam-abaad bhi duniya
basti mein koi dusra ban-bas nahin hai
ya koi 'kafil' aalam-e-barzaKH hai zamin par
ya sans faqat surat-e-anfas nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.