wo rang rang dhup thi ki raat raat KHwab hai
vo rang rang dhuup thī ki raat raat ḳhvāb hai
ye maiñ huuñ raushnī meñ yā koī nayā sarāb hai
mire qarīb zindagī kā qatl-e-'ām hai vahī
aur āsmān par vahī tulū'-e-āftāb hai
hare-bhare vujūd Tahniyoñ pe naam likh chuke
bahār kyāriyoñ meñ ab khulī huī kitāb hai
maiñ aise ḳhvāb se panāh māñgtī rahī sadā
ki jis ke baad ratjagoñ kā be-karāñ 'azāb hai
bujhī huī hañsī jale hue gharoñ ke ḳhāl-o-ḳhad
kisī na.e savāl kā koī nayā javāb hai
tamām shahr 'aks 'aks sar-burīda ho gayā
ye ā.inoñ kā ek ek fard se hisāb hai
koī to sabz pal 'humairā' apne aap ko mile
ka.ī dinoñ se fursatoñ kā zā.iqa ḳharāb hai
wo rang rang dhup thi ki raat raat KHwab hai
ye main hun raushni mein ya koi naya sarab hai
mere qarib zindagi ka qatl-e-'am hai wahi
aur aasman par wahi tulu'-e-aftab hai
hare-bhare wujud Tahniyon pe nam likh chuke
bahaar kyariyon mein ab khuli hui kitab hai
main aise KHwab se panah mangti rahi sada
ki jis ke baad ratjagon ka be-karan 'azab hai
bujhi hui hansi jale hue gharon ke KHal-o-KHad
kisi nae sawal ka koi naya jawab hai
tamam shahr 'aks 'aks sar-burida ho gaya
ye aainon ka ek ek fard se hisab hai
koi to sabz pal 'humaira' apne aap ko mile
kai dinon se fursaton ka zaiqa KHarab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.