wo rang-rup masafat ki dhul chaT gai
vo rañg-rūp masāfat kī dhuul chaaT ga.ī
mirā vajūd mohabbat kā bhuul chaaT ga.ī
maiñ zabt kar nahīñ saktā sar-e-furāt-e-visāl
kī tishnagī mire saare usuul chaaT ga.ī
nigal gayā tirā bāzār merī ḳhushbū ko
tirī havas mire gulshan ke phuul chaaT ga.ī
bahā ke le ga.ī ik lahar sab gunāh o savāb
bas ik talab mire radd-o-qubūl chaaT ga.ī
wo rang-rup masafat ki dhul chaT gai
mera wajud mohabbat ka bhul chaT gai
main zabt kar nahin sakta sar-e-furaat-e-visal
ki tishnagi mere sare usul chaT gai
nigal gaya tera bazar meri KHushbu ko
teri hawas mere gulshan ke phul chaT gai
baha ke le gai ek lahar sab gunah o sawab
bas ek talab mere radd-o-qubul chaT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.