wo raqs karti mausamon ki shoKHiyan nahin rahin
wo raqs karti mausamon ki shoKHiyan nahin rahin
Abdul Wahab Sukhan
MORE BYAbdul Wahab Sukhan
vo raqs kartī mausamoñ kī shoḳhiyāñ nahīñ rahīñ
hai shāḳh-e-gul vahī magar vo titliyāñ nahīñ rahīñ
fazā meñ jaane nafratoñ kā kaisā zahr ghul gayā
mohabbatoñ kī sabz sabz kyāriyāñ nahīñ raheñ
vidā.a ho ke bhī hai aaj laḌkiyoñ ko fikr ye
qarīb un kī rāz-dāñ saheliyāñ nahīñ rahīñ
mo.āmla ajiib sā ye dostoñ meñ ho gayā
raqīb jab se ban ga.e to yāriyāñ nahīñ rahīñ
hamāre ahd meñ kuchh aise mas.ale haiñ ziist ke
diloñ meñ ishq kī nishāt-kāriyāñ nahīñ rahīñ
ḳhulūs-o-pyār aaj bhī vahī hai ḳhāndān meñ
bas itnā hai 'suḳhan' ki jāñ-nisāriyāñ nahīñ rahīñ
wo raqs karti mausamon ki shoKHiyan nahin rahin
hai shaKH-e-gul wahi magar wo titliyan nahin rahin
faza mein jaane nafraton ka kaisa zahr ghul gaya
mohabbaton ki sabz sabz kyariyan nahin rahen
widaa ho ke bhi hai aaj laDkiyon ko fikr ye
qarib un ki raaz-dan saheliyan nahin rahin
moamla ajib sa ye doston mein ho gaya
raqib jab se ban gae to yariyan nahin rahin
hamare ahd mein kuchh aise masale hain zist ke
dilon mein ishq ki nishat-kariyan nahin rahin
KHulus-o-pyar aaj bhi wahi hai KHandan mein
bas itna hai 'suKHan' ki jaan-nisariyan nahin rahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.