wo rat-jagon ka bhi mujhse hisab mangta hai
vo rat-jagoñ kā bhī mujh se hisāb māñgtā hai
vo apnā khoyā huā kyoñ shabāb māñgtā hai
ajiib shaḳhs milā hai rah-e-mohabbat meñ
jo baat baat kā mujh se javāb māñgtā hai
bahut hī shoḳh hai vo mujh se shaam hote hī
ḳhud apnī āñkhoñ kī mujh se sharāb māñgtā hai
vo chāhtā hai mujhe TuuT kar samajhtī huuñ
magar vo kyoñ mirā mujh se hijāb māñgtā hai
usī se ishq maiñ kartī huuñ 'sa.adiya' lekin
vo saañs saañs kā mujh se hisāb māñgtā hai
wo rat-jagon ka bhi mujh se hisab mangta hai
wo apna khoya hua kyon shabab mangta hai
ajib shaKHs mila hai rah-e-mohabbat mein
jo baat baat ka mujh se jawab mangta hai
bahut hi shoKH hai wo mujh se sham hote hi
KHud apni aankhon ki mujh se sharab mangta hai
wo chahta hai mujhe TuT kar samajhti hun
magar wo kyon mera mujh se hijab mangta hai
usi se ishq main karti hun 'sadiya' lekin
wo sans sans ka mujh se hisab mangta hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 341)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.