wo ratjaga tha ki afsun-e-KHwab tari tha
vo ratjagā thā ki afsūn-e-ḳhvāb taarī thā
diye kī lau pe sitāroñ kā raqs jaarī thā
maiñ us ko dekhtā thā dam-ba-ḳhud thā hairāñ thā
kise ḳhabar vo kaḌā vaqt kitnā bhārī thā
guzarte vaqt ne kyā kyā na chāra saazī kī
vagarna zaḳhm jo us ne diyā thā kaarī thā
dayār-e-jāñ meñ baḌī der meñ ye baat khulī
mirā vajūd hī ḳhud nañg dost-dārī thā
kise batā.ūñ maiñ apnī navā kī ramz 'aḳhtar'
ki harf jo nahīñ utre maiñ un kā qaarī thā
wo ratjaga tha ki afsun-e-KHwab tari tha
diye ki lau pe sitaron ka raqs jari tha
main us ko dekhta tha dam-ba-KHud tha hairan tha
kise KHabar wo kaDa waqt kitna bhaari tha
guzarte waqt ne kya kya na chaara sazi ki
wagarna zaKHm jo us ne diya tha kari tha
dayar-e-jaan mein baDi der mein ye baat khuli
mera wajud hi KHud nang dost-dari tha
kise bataun main apni nawa ki ramz 'aKHtar'
ki harf jo nahin utre main un ka qari tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.