wo raushni dimagh ko dena KHayal ki
vo raushnī dimāġh ko denā ḳhayāl kī
hājat rahe mujhe na tumhāre visāl
kuchh yuuñ fanā huā huuñ mohabbat kī aag meñ
duniyā ko de chalā huuñ kahānī malāl kī
vo merī ḳhāmushī ko baḌhātā hai hashr se
rakhtā hai laaj mere lab-e-be-savāl kī
sailāb kī shikast pe hañstā huā ye shahr
aur āsmāñ pe qaus-e-quzah bhī kamāl kī
har dam havā ke saath safar kī tarañg meñ
kaisī hayāt hai mirī ḳhāk-e-fa.āl kī
'bedī' marīz dil kā huuñ aur dard kā safīr
mar jā.ūñgā na us ne agar dekh-bhāl kī
wo raushni dimagh ko dena KHayal ki
hajat rahe mujhe na tumhaare visal
kuchh yun fana hua hun mohabbat ki aag mein
duniya ko de chala hun kahani malal ki
wo meri KHamushi ko baDhata hai hashr se
rakhta hai laj mere lab-e-be-sawal ki
sailab ki shikast pe hansta hua ye shahr
aur aasman pe qaus-e-quzah bhi kamal ki
har dam hawa ke sath safar ki tarang mein
kaisi hayat hai meri KHak-e-faal ki
'bedi' mariz dil ka hun aur dard ka safir
mar jaunga na us ne agar dekh-bhaal ki
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 279)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.