wo rishta yun nibhana chahta hai
vo rishta yuuñ nibhānā chāhtā hai
marāsim ġhā.ebāna chāhtā hai
vo jhagḌe kā bahānā chāhtā hai
mujhe phir āzmānā chāhtā hai
tabī'at shā'irāna chāhtā hai
so apnā dil jalānā chāhtā hai
vo jis ne har qadam sīkhā hai ham se
vo ab ham ko sikhānā chāhtā hai
bahut mā'sūm hai mahbūb merā
ki haare ko harānā chāhtā hai
vo ziddī hai kisī bachche kī sūrat
Thahartā hai na jaanā chāhtā hai
parinda kab talak uḌtā rahegā
vo din Dhalte Thikānā chāhtā hai
use to chāhiye pahlī sī chāhat
zamāna vo purānā chāhtā hai
wo rishta yun nibhana chahta hai
marasim ghaebana chahta hai
wo jhagDe ka bahana chahta hai
mujhe phir aazmana chahta hai
tabi'at sha'irana chahta hai
so apna dil jalana chahta hai
wo jis ne har qadam sikha hai hum se
wo ab hum ko sikhana chahta hai
bahut ma'sum hai mahbub mera
ki haare ko harana chahta hai
wo ziddi hai kisi bachche ki surat
Thaharta hai na jaana chahta hai
parinda kab talak uDta rahega
wo din Dhalte Thikana chahta hai
use to chahiye pahli si chahat
zamana wo purana chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.