wo rog ishq ka mujhe behad laga gai
vo rog ishq kā mujhe behad lagā ga.ī
tūfān dil meñ mere vo dilkash uThā ga.ī
aisī havā chalī thī ki mujh se na pochhiye
jitne likhe the ḳhat use saare uḌā ga.ī
sūrat bahut hasīn thī dilbar kī haañ miyāñ
dekhā use thā maiñ ne jo sab ġham miTā ga.ī
aqdār apnī bhuul ke maġhrib meñ kho ga.e
aaya zamāna aisā ki sar se ridā ga.ī
wo rog ishq ka mujhe behad laga gai
tufan dil mein mere wo dilkash uTha gai
aisi hawa chali thi ki mujh se na pochhiye
jitne likhe the KHat use sare uDa gai
surat bahut hasin thi dilbar ki han miyan
dekha use tha main ne jo sab gham miTa gai
aqdar apni bhul ke maghrib mein kho gae
aaya zamana aisa ki sar se rida gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.