wo roz naya fitna uThane pe laga hai
wo roz naya fitna uThane pe laga hai
Sulaiman Faraz Hasanpuri
MORE BYSulaiman Faraz Hasanpuri
vo roz nayā fitna uThāne pe lagā hai
kam-zarf hai zaat apnī dikhāne pe lagā hai
maiñ chāhtā huuñ ḳhatm ho ye aapsī nafrat
vo hai ki faqat baat baḌhāne pe lagā hai
dushman ko taḌaptā huā chhoḌ aaya huuñ maiñ bhī
har tiir mirā jā ke nishāne pe lagā hai
haq baat kī tā.īd koī jurm ho jaise
har shaḳhs mujhe āñkheñ dikhāne pe lagā hai
jis shaḳhs kī apnī koī pahchān nahīñ hai
vo nām-o-nishāñ merā miTāne pe lagā hai
maiñ itnā pareshān to ḳhud se bhī nahīñ thā
jo sadma tire chhoḌ ke jaane pe lagā hai
nākām thā nākām hai nākām rahegā
bekār ye dil us ko bhulāne pe lagā hai
insāf kī ummīd rakhūñ kis se 'sulaimān'
munsif mire qātil ko bachāne pe lagā hai
wo roz naya fitna uThane pe laga hai
kam-zarf hai zat apni dikhane pe laga hai
main chahta hun KHatm ho ye aapsi nafrat
wo hai ki faqat baat baDhane pe laga hai
dushman ko taDapta hua chhoD aaya hun main bhi
har tir mera ja ke nishane pe laga hai
haq baat ki taid koi jurm ho jaise
har shaKHs mujhe aankhen dikhane pe laga hai
jis shaKHs ki apni koi pahchan nahin hai
wo nam-o-nishan mera miTane pe laga hai
main itna pareshan to KHud se bhi nahin tha
jo sadma tere chhoD ke jaane pe laga hai
nakaam tha nakaam hai nakaam rahega
bekar ye dil us ko bhulane pe laga hai
insaf ki ummid rakhun kis se 'sulaiman'
munsif mere qatil ko bachane pe laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.