wo ruKHsat ki ghaDi wo dida-e-nam yaad aate hain
vo ruḳhsat kī ghaḌī vo dīda-e-nam yaad aate haiñ
na jaane aaj kyuuñ bhūle hue ġham yaad aate haiñ
ye chashm-e-dost kī sāzish nahīñ to aur phir kyā hai
ki mere mundamil zaḳhmoñ ke marham yaad aate haiñ
huā hai jab se dil said-e-sitam-hā-e-ġham-e-daurāñ
vo yaad aate to haiñ lekin bahut kam yaad aate haiñ
yahāñ ham ġham ġhalat karne ko aa.e the magar saaqī
qayāmat hai ki maiḳhāne meñ bhī ġham yaad aate haiñ
koī jab chheḌtā hai qissa-e-dār-o-rasan 'qaisar'
to dīvānoñ ko un kī zulf ke ḳham yaad aatā hai
wo ruKHsat ki ghaDi wo dida-e-nam yaad aate hain
na jaane aaj kyun bhule hue gham yaad aate hain
ye chashm-e-dost ki sazish nahin to aur phir kya hai
ki mere mundamil zaKHmon ke marham yaad aate hain
hua hai jab se dil said-e-sitam-ha-e-gham-e-dauran
wo yaad aate to hain lekin bahut kam yaad aate hain
yahan hum gham ghalat karne ko aae the magar saqi
qayamat hai ki maiKHane mein bhi gham yaad aate hain
koi jab chheDta hai qissa-e-dar-o-rasan 'qaisar'
to diwanon ko un ki zulf ke KHam yaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.