wo rudad-e-gham par bahut muskurae
vo rūdād-e-ġham par bahut muskurā.e
magar phir bhī āñkhoñ meñ aañsū bhar aa.e
nazar merī bahkī qadam laḌkhaḌā.e
mohabbat meñ kyā kyā maqāmāt aa.e
mohabbat kā banda vafā kā pujārī
tire dar se ham ne bahut naam paa.e
na jaane kab un kī nazar kā talavvun
miTā kar banā.e banā kar miTā.e
kabhī intizār aur kabhī be-qarārī
mohabbat meñ ham ne ye ārām paa.e
kalī dil-girafta udāsī guloñ par
chaman meñ mujhe tum bahut yaad aa.e
shab-e-ġham unhīñ ke tasavvur meñ guzrī
kabhī aah khīñchī kabhī muskurā.e
nigāhoñ se un kī nigāheñ milā kar
ham apnā fasāna sunāne na paa.e
ik aisī masarrat kā lamha bhī aaya
na tum muskurā.e na ham muskurā.e
nahīñ āstāñ koī sajde ke qābil
kahāñ terā 'sājid' sar apnā jhukā.e
wo rudad-e-gham par bahut muskurae
magar phir bhi aankhon mein aansu bhar aae
nazar meri bahki qadam laDkhaDae
mohabbat mein kya kya maqamat aae
mohabbat ka banda wafa ka pujari
tere dar se hum ne bahut nam pae
na jaane kab un ki nazar ka talawwun
miTa kar banae bana kar miTae
kabhi intizar aur kabhi be-qarari
mohabbat mein hum ne ye aaram pae
kali dil-girafta udasi gulon par
chaman mein mujhe tum bahut yaad aae
shab-e-gham unhin ke tasawwur mein guzri
kabhi aah khinchi kabhi muskurae
nigahon se un ki nigahen mila kar
hum apna fasana sunane na pae
ek aisi masarrat ka lamha bhi aaya
na tum muskurae na hum muskurae
nahin aastan koi sajde ke qabil
kahan tera 'sajid' sar apna jhukae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.