wo ruh ke gumbad mein sada ban ke milega
vo ruuh ke gumbad meñ sadā ban ke milegā
ik din vo mujhe merā ḳhudā ban ke milegā
bhaTkūñgā maiñ is shahr kī galiyoñ meñ akelā
vo mujh ko mire dil kā ḳhalā ban ke milegā
vo daur bhī aa.egā ki har lamha-e-hastī
mujh se tire milne kī duā ban ke milegā
kis zo.am se bichhḌā hai magar dekhnā ye bhī
tū ḳhud se ḳhud apnī hī sazā ban ke milegā
ash.ār meñ dhaḌke.eñge mulāqāt ke lamhe
tū sab se mire fan kī baqā ban ke milegā
wo ruh ke gumbad mein sada ban ke milega
ek din wo mujhe mera KHuda ban ke milega
bhaTkunga main is shahr ki galiyon mein akela
wo mujh ko mere dil ka KHala ban ke milega
wo daur bhi aaega ki har lamha-e-hasti
mujh se tere milne ki dua ban ke milega
kis zoam se bichhDa hai magar dekhna ye bhi
tu KHud se KHud apni hi saza ban ke milega
ashaar mein dhaDkeenge mulaqat ke lamhe
tu sab se mere fan ki baqa ban ke milega
- Book : Aab-e-Sharab (Pg. 66)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.