wo saf ruKH pe jo zulf-e-siyah-fam nahin
vo saaf ruḳh pe jo zulf-e-siyāh-fām nahīñ
patā ye hai ki halab ke qarīb shaam nahīñ
tumhāre ruḳh se kuchh achchhā mah-e-tamām nahīñ
tumhāre qasr se ūñchā falak kā baam nahīñ
vo kaam le ke bhī kahte haiñ tujh se kaam nahīñ
salām aisī itā'at ko maiñ ġhulām nahīñ
kabhī hai dasht-navardī kabhī haiñ gulshan meñ
ġharaz junūñ meñ hamārā kahīñ qayām nahīñ
vo shām-e-vasl hai ai ham-nashīñ sahar jis kī
vo sub.h-e-hijr hai ai dil ki jis kī shaam nahīñ
huī hai ab to unheñ lafz lafz se nafrat
javāb-e-ḳhat meñ kahīñ daad saad laam nahīñ
sharāb-ḳhāna-e-duniyā meñ ai balā-nosho
kisī ko sāġhar-e-mai kī tarah qayām nahīñ
pilā de muft mujhe ai saḳhī ke laal sharāb
ġharīb-e-riñd huuñ merī girah meñ daam nahīñ
hazār 'aib haiñ ham meñ magar vo hai sattār
ḳhudā kā shukr hai badnām apnā naam nahīñ
bas aaj roz kā jhagḌā miTā de ai qātil
'adū nahīñ tirī mahfil meñ yā ġhulām nahīñ
hazār kabk ko ho naaz chaal par apnī
magar vo aap ke mānind ḳhush-ḳhirām nahīñ
ye kis ke paañv ke chhāle ne kar diyā sairāb
jo aaj ḳhār-e-bayābāñ bhī tishna-kām nahīñ
savāl-e-vasl pe lillāh aaj haañ kah de
dahan se tere nikaltā rahā mudām nahīñ
dikhā ke abrū-e-pur-ḳham kahā ye zālim ne
kare na chaak kaleja ye vo husām nahīñ
na sub.h-e-vasl karo vā'da shaam kā sāhab
yahāñ hai sham'-e-sahar ārzū-e-shām nahīñ
piyāla duudh kā gāloñ ke sāmne hai rakkhā
vo gaal par tire zulf-e-siyāh-fām nahīñ
janāb-e-shaiḳh bhī aa jaa.eñ to pilā.ūñ unheñ
ye māh-e-īd hai 'sābir' mah-e-siyām nahīñ
maiñ un se daad bhī letā nahīñ huuñ ai 'sābir'
samajhte mere suḳhan ko agar avaam nahīñ
wo saf ruKH pe jo zulf-e-siyah-fam nahin
pata ye hai ki halab ke qarib sham nahin
tumhaare ruKH se kuchh achchha mah-e-tamam nahin
tumhaare qasr se uncha falak ka baam nahin
wo kaam le ke bhi kahte hain tujh se kaam nahin
salam aisi ita'at ko main ghulam nahin
kabhi hai dasht-nawardi kabhi hain gulshan mein
gharaz junun mein hamara kahin qayam nahin
wo sham-e-wasl hai ai ham-nashin sahar jis ki
wo subh-e-hijr hai ai dil ki jis ki sham nahin
hui hai ab to unhen lafz lafz se nafrat
jawab-e-KHat mein kahin dad sad lam nahin
sharab-KHana-e-duniya mein ai bala-nosho
kisi ko saghar-e-mai ki tarah qayam nahin
pila de muft mujhe ai saKHi ke lal sharab
gharib-e-rind hun meri girah mein dam nahin
hazar 'aib hain hum mein magar wo hai sattar
KHuda ka shukr hai badnam apna nam nahin
bas aaj roz ka jhagDa miTa de ai qatil
'adu nahin teri mahfil mein ya ghulam nahin
hazar kabk ko ho naz chaal par apni
magar wo aap ke manind KHush-KHiram nahin
ye kis ke panw ke chhaale ne kar diya sairab
jo aaj KHar-e-bayaban bhi tishna-kaam nahin
sawal-e-wasl pe lillah aaj han kah de
dahan se tere nikalta raha mudam nahin
dikha ke abru-e-pur-KHam kaha ye zalim ne
kare na chaak kaleja ye wo husam nahin
na subh-e-wasl karo wa'da sham ka sahab
yahan hai sham'-e-sahar aarzu-e-sham nahin
piyala dudh ka galon ke samne hai rakkha
wo gal par tere zulf-e-siyah-fam nahin
janab-e-shaiKH bhi aa jaen to pilaun unhen
ye mah-e-id hai 'sabir' mah-e-siyam nahin
main un se dad bhi leta nahin hun ai 'sabir'
samajhte mere suKHan ko agar awam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.