wo saghar-e-shabab chhalakta hua hai kya
vo sāġhar-e-shabāb chhalaktā huā hai kyā
āñkhoñ se ye tarāvish-e-rañg-e-adā hai kyā
terā gunāhgār huuñ tere sivā hai kyā
apnī taraf to dekh mujhe dekhtā hai kyā
jab dil hī bujh gayā to kisī se gila hai kyā
jab maiñ nahīñ rahā to phir achchhā burā hai kyā
uzr-e-jafā ke parde meñ fikr-e-jafā hai kyā
zālim phir imtihān-e-umīd-e-vafā hai kyā
dar-parda phir ye ranjish-e-tāqat gusil hai kyoñ
be-parda phir ye nāzish-e-sabr-āzmā hai kyā
phir ye taġhāful-e-sitam-e-be-hijāb kyoñ
phir ye tajāhul-e-nigah-e-āshnā hai kyā
jaadū tarāzī-e-suḳhan-e-dil-nashīñ hai kyoñ
nairañg-e-va.ada-hā-e-tasallī fazā hai kyā
afsūn-e-shauq gosh-e-do-ālam meñ phūñknā
phir māñgnā kahīñ dil-e-be-mudda.ā hai kyā
ḳhūnāba-e-sarishk pe yuuñ ḳhaak Dālnā
phir chheḌnā ki surḳhī-e-rañg-e-hinā hai kyā
pahle kisī ke nāḳhun-e-tadbīr toḌnā
phir pūchhnā ki uqda-e-band-e-qabā hai kyā
mahshar bhī ek saf.ha-e-bazm-e-ḳhayāl hai
a.amāl-nāma-e-nigah-e-surma sā hai kyā
sailāb-e-ātishīñ binā muusā hai maujzan
ḳhūn-e-bahār kyā rag-e-mauj-e-sabā hai kyā
dekho harīf ta.ana-e-dushman na ho sakā
tum jānte ho ye dil-e-be-mudda.ā hai kyā
ta.abīr-e-rañg-e-hāl pe jiitā huuñ haa.e haa.e
vo mujh se pūchhte haiñ tumheñ ho gayā hai kyā
ta.alīmأعأġhair se bhī taġhāful na chhoḌnā
ham yaas par jiyeñge umīd-e-vafā hai kyā
ā.īna hai gavāh ki huuñ maz.har-e-sifāt
ai husn-e-be-hijāb mirā pūchhnā hai kyā
terī taraf haiñ zāhir-o-bātin khiñche hue
hastī ko chhoḌ dekh adam meñ rahā hai kyā
shīrāza-e-vajūd-o-adam hai tirī kamar
jo raaz khul gayā hai vahī chhup gayā hai kyā
qurbān is bigāḌ ke sadqe banāoge
jo tujh pe miT gayā hai vahī ban gayā hai kyā
hai vaqt-e-naz.a nāqa-e-umr-e-ravāñ bhī garm
hai hai shikast-e-rañg-e-sadā-e-darā hai kyā
kyoñ dostī ke parda se aatī hai bū-e-ġhair
ḳhalvat-gah-e-visāl meñ josh-e-hayā hai kyā
majbūr ho ke ġhair ko apnā banā liyā
zālim kī dushmanī bhī mohabbat-fazā hai kyā
toḌā hai tum ne ahd-e-mohabbat hazār baar
āḳhir shikast-e-shīsha-e-dil kī sadā hai kyā
ahbāb qadr-dāñ haiñ suḳhan-fahm ai 'vafā'
phir tū batā ki terī ġhazal kā sila hai kyā
wo saghar-e-shabab chhalakta hua hai kya
aankhon se ye tarawish-e-rang-e-ada hai kya
tera gunahgar hun tere siwa hai kya
apni taraf to dekh mujhe dekhta hai kya
jab dil hi bujh gaya to kisi se gila hai kya
jab main nahin raha to phir achchha bura hai kya
uzr-e-jafa ke parde mein fikr-e-jafa hai kya
zalim phir imtihan-e-umid-e-wafa hai kya
dar-parda phir ye ranjish-e-taqat gusil hai kyon
be-parda phir ye nazish-e-sabr-azma hai kya
phir ye taghaful-e-sitam-e-be-hijab kyon
phir ye tajahul-e-nigah-e-ashna hai kya
jadu taraazi-e-suKHan-e-dil-nashin hai kyon
nairang-e-wada-ha-e-tasalli faza hai kya
afsun-e-shauq gosh-e-do-alam mein phunkna
phir mangna kahin dil-e-be-muddaa hai kya
KHunaba-e-sarishk pe yun KHak Dalna
phir chheDna ki surKHi-e-rang-e-hina hai kya
pahle kisi ke naKHun-e-tadbir toDna
phir puchhna ki uqda-e-band-e-qaba hai kya
mahshar bhi ek safha-e-bazm-e-KHayal hai
aamal-nama-e-nigah-e-surma sa hai kya
sailab-e-atishin bina musa hai maujzan
KHun-e-bahaar kya rag-e-mauj-e-saba hai kya
dekho harif tana-e-dushman na ho saka
tum jaante ho ye dil-e-be-muddaa hai kya
tabir-e-rang-e-haal pe jita hun hae hae
wo mujh se puchhte hain tumhein ho gaya hai kya
talimأعأghair se bhi taghaful na chhoDna
hum yas par jiyenge umid-e-wafa hai kya
aaina hai gawah ki hun mazhar-e-sifat
ai husn-e-be-hijab mera puchhna hai kya
teri taraf hain zahir-o-baatin khinche hue
hasti ko chhoD dekh adam mein raha hai kya
shiraaza-e-wajud-o-adam hai teri kamar
jo raaz khul gaya hai wahi chhup gaya hai kya
qurban is bigaD ke sadqe banaoge
jo tujh pe miT gaya hai wahi ban gaya hai kya
hai waqt-e-naza naqa-e-umr-e-rawan bhi garm
hai hai shikast-e-rang-e-sada-e-dara hai kya
kyon dosti ke parda se aati hai bu-e-ghair
KHalwat-gah-e-visal mein josh-e-haya hai kya
majbur ho ke ghair ko apna bana liya
zalim ki dushmani bhi mohabbat-faza hai kya
toDa hai tum ne ahd-e-mohabbat hazar bar
aaKHir shikast-e-shisha-e-dil ki sada hai kya
ahbab qadr-dan hain suKHan-fahm ai 'wafa'
phir tu bata ki teri ghazal ka sila hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.