wo sab ke dil mein basa tha habib aisa tha
vo sab ke dil meñ basā thā habīb aisā thā
tamām shahr hī merā raqīb aisā thā
lahū lahū thā ujālā sahar ke māthe par
ufuq se jhāñktā sūraj salīb aisā thā
matā-e-dard-o-alam bhī to us ke paas na thī
mujhe vo kyā atā kartā ġharīb aisā thā
banā banā ke maiñ bāteñ hazār kartā magar
vo mujh se jiit hī jaatā ḳhatīb aisā thā
mirā ḳhulūs vo Thukrā gayā hiqārat se
maiñ haath maltā rahā bad-nasīb aisā thā
tamām umr jalātā rahā vajūd mirā
vo ek barf kā paikar ajiib aisā thā
wo sab ke dil mein basa tha habib aisa tha
tamam shahr hi mera raqib aisa tha
lahu lahu tha ujala sahar ke mathe par
ufuq se jhankta suraj salib aisa tha
mata-e-dard-o-alam bhi to us ke pas na thi
mujhe wo kya ata karta gharib aisa tha
bana bana ke main baaten hazar karta magar
wo mujh se jit hi jata KHatib aisa tha
mera KHulus wo Thukra gaya hiqarat se
main hath malta raha bad-nasib aisa tha
tamam umr jalata raha wajud mera
wo ek barf ka paikar ajib aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.