wo sab se aage andhere mein jo charagh thame khaDa hua hai
vo sab se aage añdhere meñ jo charāġh thāme khaḌā huā hai
siyāh rātoñ meñ gum-shuda manziloñ ko rasta dikhā rahā hai
jhulaste mausam meñ munharif hai parā.e peḌoñ kī chhāoñ tak se
anā kā rutba baḌhāyā us ne vo apnī shartoñ pe jī rahā hai
havā kī marzī diyā bujhā.e yā ḳhushbuoñ ko rihā.ī de de
kahīñ pe dīvār hai ye goyā kahīñ kahīñ par ye rāsta hai
tū jāntā hai tirī nazar se har ek manzar ko dekhtī huuñ
tujhe pata hai ki terī āñkhoñ kā rang bilkul mirī tarah hai
badaltī rut meñ badal gayā hai hamārī nazroñ kā zāviya bhī
udaas pattoñ pe ruup aaya ḳhizāñ kā chehra damak rahā hai
guzar chukā hai vo is saḌak se baḌī ḳhamoshī ke saath ab ke
ye koī dastak nahīñ hai dar par havā kī sāzish hai vāhima hai
ye terī nisbat kā faiz hai jo Tale hue haiñ 'azāb saare
ye merī duniyā meñ ab talak jo bhī ḳhair hai vo tirī du'ā hai
wo sab se aage andhere mein jo charagh thame khaDa hua hai
siyah raaton mein gum-shuda manzilon ko rasta dikha raha hai
jhulaste mausam mein munharif hai parae peDon ki chhaon tak se
ana ka rutba baDhaya us ne wo apni sharton pe ji raha hai
hawa ki marzi diya bujhae ya KHushbuon ko rihai de de
kahin pe diwar hai ye goya kahin kahin par ye rasta hai
tu jaanta hai teri nazar se har ek manzar ko dekhti hun
tujhe pata hai ki teri aankhon ka rang bilkul meri tarah hai
badalti rut mein badal gaya hai hamari nazron ka zawiya bhi
udas patton pe rup aaya KHizan ka chehra damak raha hai
guzar chuka hai wo is saDak se baDi KHamoshi ke sath ab ke
ye koi dastak nahin hai dar par hawa ki sazish hai wahima hai
ye teri nisbat ka faiz hai jo Tale hue hain 'azab sare
ye meri duniya mein ab talak jo bhi KHair hai wo teri du'a hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.