wo samar tha meri duaon ka use kis ne apna bana liya
vo samar thā merī duāoñ kā use kis ne apnā banā liyā
mirī aañkh kis ne ujaaḌ dī mirā ḳhvāb kis ne churā liyā
tujhe kyā batā.eñ ki dil-nashīñ tire ishq meñ tirī yaad meñ
kabhī guftugū rahī phuul se kabhī chāñd chhat pe bulā liyā
mujhe pahle pahle jo dekh kar tirā haal thā mujhe yaad hai
kabhī jal ga.iiñ tirī roTiyāñ kabhī haath tū ne jilā liyā
mirī jañg kī vahī jiit thī mirī fat.h kā vahī jashn thā
maiñ girā to dauḌ ke yaar ne mujhe bāzuoñ meñ uThā liyā
mirī chāñd chhūne kī hasrateñ mirī ḳhushbū hone kī ḳhvāhisheñ
tū milā to dil ko yaqīñ huā mujhe jo talab thī vo pā liyā
mire dushmanoñ kī nazar meñ bhī mirā qad baḌā hī rahā sadā
mirī maañ kī pyārī duāoñ ne mujhe zillatoñ se bachā liyā
mirī Diary mirī shā.irī jo paḌhī to paḌhte hī ro paḌī
mire paas aa ke kahā mujhe baḌā rog tū ne lagā liyā
na misāl koī na mashvara ki ye baat dil kī hai 'nayyarā’
jahāñ us kā hukm huā mujhe vahīñ maiñ ne sar ko jhukā liyā
wo samar tha meri duaon ka use kis ne apna bana liya
meri aankh kis ne ujaD di mera KHwab kis ne chura liya
tujhe kya bataen ki dil-nashin tere ishq mein teri yaad mein
kabhi guftugu rahi phul se kabhi chand chhat pe bula liya
mujhe pahle pahle jo dekh kar tera haal tha mujhe yaad hai
kabhi jal gain teri roTiyan kabhi hath tu ne jila liya
meri jang ki wahi jit thi meri fath ka wahi jashn tha
main gira to dauD ke yar ne mujhe bazuon mein uTha liya
meri chand chhune ki hasraten meri KHushbu hone ki KHwahishen
tu mila to dil ko yaqin hua mujhe jo talab thi wo pa liya
mere dushmanon ki nazar mein bhi mera qad baDa hi raha sada
meri man ki pyari duaon ne mujhe zillaton se bacha liya
meri Diary meri shairi jo paDhi to paDhte hi ro paDi
mere pas aa ke kaha mujhe baDa rog tu ne laga liya
na misal koi na mashwara ki ye baat dil ki hai 'nayyara’
jahan us ka hukm hua mujhe wahin main ne sar ko jhuka liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.