wo samundar se sada deta hai
vo samundar se sadā detā hai
aag paanī meñ lagā detā hai
DhūñDhne vaalā use aaTh pahar
be-karānī kī sadā detā hai
har qadam besh hai vo naqsh-e-qadam
paaoñ imkāñ ke hilā detā hai
kyā tamāshā hai mirā zauq-e-numū
chuTkiyoñ meñ jo uḌā detā hai
dasht-e-aflāk ke sab sang-o-shajar
merī rāhoñ meñ sajā detā hai
duur ufuq paar mire dil ke liye
ek tasvīr banā detā hai
kitnā ḳhvāhāñ hai chaman-rezī kā
muTThiyoñ-bhar jo havā detā hai
ḳhauf detā hai mujhe vaqt-e-duā
kis ta'alluq kā sila detā hai
mujh ko luḌhkā ke pahāḌoñ se kahīñ
qahqaha ek lagā detā hai
phir bulā kar vo mujhe hashr ke din
faisla apnā sunā detā hai
wo samundar se sada deta hai
aag pani mein laga deta hai
DhunDhne wala use aaTh pahar
be-karani ki sada deta hai
har qadam besh hai wo naqsh-e-qadam
paon imkan ke hila deta hai
kya tamasha hai mera zauq-e-numu
chuTkiyon mein jo uDa deta hai
dasht-e-aflak ke sab sang-o-shajar
meri rahon mein saja deta hai
dur ufuq par mere dil ke liye
ek taswir bana deta hai
kitna KHwahan hai chaman-rezi ka
muTThiyon-bhar jo hawa deta hai
KHauf deta hai mujhe waqt-e-dua
kis ta'alluq ka sila deta hai
mujh ko luDhka ke pahaDon se kahin
qahqaha ek laga deta hai
phir bula kar wo mujhe hashr ke din
faisla apna suna deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.