wo sanam jo mehr-ezar hai use humse milne mein aar hai
wo sanam jo mehr-ezar hai use humse milne mein aar hai
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
vo sanam jo mehr-ezār hai use ham se milne meñ aar hai
vale apnā jo dil-e-zār hai vo hazār jaañ se nisār hai
mile jab se kūche meñ us ke jā ye surūr-e-aish hai barmalā
lab-e-dil hai aur vo naqsh-e-pā bar-e-jāñ hai aur dar-e-yār hai
vo nigah jo us kī hai fitna-gar use mashq-e-said hai pesh-tar
hai jo dil kā tā.ir-e-tez-par usī baaz kā ye shikār hai
vo mizha lagā ke jo ek sināñ ga.ī phir to kar na dil ab fuġhāñ
ka.ī aise hoveñge imtihāñ ye abhī to pahlā hī vaar hai
jo bahār gul pe rahī hai tul hameñ kyā jo husn kī pī hai mul
jinheñ chāhiye hai vo rashk-e-gul unheñ gul se kyā sarokār hai
jo butoñ ko deveñ dil aur diiñ rakheñ us ko ye ba-alam qarīñ
bhalā kahiye kyā use ham-nashīñ ye ajab kuchh un kā shi.ār hai
ka.ī din hue haiñ 'nazīr' ab ki ḳhafā hai ham se vo ġhuncha-lab
use kyā vale hameñ roz-o-shab na to sabr hai na qarār hai
wo sanam jo mehr-ezar hai use hum se milne mein aar hai
wale apna jo dil-e-zar hai wo hazar jaan se nisar hai
mile jab se kuche mein us ke ja ye surur-e-aish hai barmala
lab-e-dil hai aur wo naqsh-e-pa bar-e-jaan hai aur dar-e-yar hai
wo nigah jo us ki hai fitna-gar use mashq-e-said hai pesh-tar
hai jo dil ka tair-e-tez-par usi baz ka ye shikar hai
wo mizha laga ke jo ek sinan gai phir to kar na dil ab fughan
kai aise howenge imtihan ye abhi to pahla hi war hai
jo bahaar gul pe rahi hai tul hamein kya jo husn ki pi hai mul
jinhen chahiye hai wo rashk-e-gul unhen gul se kya sarokar hai
jo buton ko dewen dil aur din rakhen us ko ye ba-alam qarin
bhala kahiye kya use ham-nashin ye ajab kuchh un ka shiar hai
kai din hue hain 'nazir' ab ki KHafa hai hum se wo ghuncha-lab
use kya wale hamein roz-o-shab na to sabr hai na qarar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.