wo sanam KHugar-e-wafa na hua
vo sanam ḳhūgar-e-vafā na huā
ye bhī achchhā huā burā na huā
aa gayā lutf zindagānī kā
dard jo qābil-e-davā na huā
umr bhar ham judā rahe us se
ham se dam bhar bhī jo judā na huā
kahe detī haiñ sharam-gīñ nazreñ
kyā huā raat aur kyā na huā
'shauq' ne likkhe saiñkaḌoñ daftar
harf-e-matlab magar adā na huā
wo sanam KHugar-e-wafa na hua
ye bhi achchha hua bura na hua
aa gaya lutf zindagani ka
dard jo qabil-e-dawa na hua
umr bhar hum juda rahe us se
hum se dam bhar bhi jo juda na hua
kahe deti hain sharam-gin nazren
kya hua raat aur kya na hua
'shauq' ne likkhe sainkaDon daftar
harf-e-matlab magar ada na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.