wo sang-dil mera rahbar hai kya kiya jae
vo sañg-dil mirā rahbar hai kyā kiyā jaa.e
aur us ke haath meñ ḳhanjar hai kyā kiyā jaa.e
mire buzurgoñ ke sar par humā kā saaya thā
ye aaj ġhairoñ ke sar par hai kyā kiyā jaa.e
ye holī us ne jo khelī hai ātish-o-ḳhūñ kī
safīr-e-amn bhī shashdar hai kyā kiyā jaa.e
uḌeñgī dhajjiyāñ phir amn kī ki vo zālim
khaḌā huā sar-e-mimbar hai kyā kiyā jaa.e
ye taḳht-o-tāj ye mahloñ kā kal jo vaalī thā
vatan meñ apne hī be-ghar hai kyā kiyā jaa.e
batāo kaise jalā.ūñ maiñ sham.a ulfat kī
ki tez buġhz kī sarsar hai kyā kiyā jaa.e
'zakī' vo apnī safā.ī meñ ḳhvāh kuchh bhī kahe
gumān merā barābar hai kyā kiyā jaa.e
vo jis ne ḳhuun se sīñchā thā is chaman ko 'zakī'
ḳhilāf us ke hī mahzar hai kyā kiyā jaa.e
wo sang-dil mera rahbar hai kya kiya jae
aur us ke hath mein KHanjar hai kya kiya jae
mere buzurgon ke sar par huma ka saya tha
ye aaj ghairon ke sar par hai kya kiya jae
ye holi us ne jo kheli hai aatish-o-KHun ki
safir-e-amn bhi shashdar hai kya kiya jae
uDengi dhajjiyan phir amn ki ki wo zalim
khaDa hua sar-e-mimbar hai kya kiya jae
ye taKHt-o-taj ye mahlon ka kal jo wali tha
watan mein apne hi be-ghar hai kya kiya jae
batao kaise jalaun main shama ulfat ki
ki tez bughz ki sarsar hai kya kiya jae
'zaki' wo apni safai mein KHwah kuchh bhi kahe
guman mera barabar hai kya kiya jae
wo jis ne KHun se sincha tha is chaman ko 'zaki'
KHilaf us ke hi mahzar hai kya kiya jae
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 112)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.