wo sanjida hai ranjida nahin hai
vo sanjīda hai ranjīda nahīñ hai
mirī āñkhoñ ko kuchh dhokā nahīñ hai
na itnī jald itne bad-gumāñ ho
abhī tum ne mujhe samjhā nahīñ hai
nazar dil dhaḌkaneñ jazbāt aañsū
parāyā hai ye sab apnā nahīñ hai
kuchh aise naam bhī dil par raqam haiñ
ki jin se rabt hai rishta nahīñ hai
jo shīsha-gar huā karte the kal tak
ab un hāthoñ meñ ā.īna nahīñ hai
ḳhajil haiñ ham vafāoñ par bhī lekin
jafāoñ par vo sharminda nahīñ hai
mirī bastī hai yā ābād jañgal
makāñ maujūd ham-sāya nahīñ hai
vo apnī bhuuk hī khā leñge ik din
vo jin kai paas āzūqa nahīñ hai
nazar be-nūr hotī jā rahī hai
bahut din se tumheñ dekhā nahīñ hai
jo dil masrūf ho yādoñ meñ terī
vo tanhā.ī meñ bhī tanhā nahīñ hai
zavāl-e-ābrū bas ek zid par
tumheñ me.arāj ye zebā nahīñ hai
wo sanjida hai ranjida nahin hai
meri aankhon ko kuchh dhoka nahin hai
na itni jald itne bad-guman ho
abhi tum ne mujhe samjha nahin hai
nazar dil dhaDkanen jazbaat aansu
paraya hai ye sab apna nahin hai
kuchh aise nam bhi dil par raqam hain
ki jin se rabt hai rishta nahin hai
jo shisha-gar hua karte the kal tak
ab un hathon mein aaina nahin hai
KHajil hain hum wafaon par bhi lekin
jafaon par wo sharminda nahin hai
meri basti hai ya aabaad jangal
makan maujud ham-saya nahin hai
wo apni bhuk hi kha lenge ek din
wo jin kai pas aazuqa nahin hai
nazar be-nur hoti ja rahi hai
bahut din se tumhein dekha nahin hai
jo dil masruf ho yaadon mein teri
wo tanhai mein bhi tanha nahin hai
zawal-e-abru bas ek zid par
tumhein mearaj ye zeba nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.