wo sar nahin jis mein tera sauda nahin hota
vo sar nahīñ jis meñ tirā saudā nahīñ hotā
āñkheñ nahīñ jin meñ tirā jalva nahīñ hotā
kyoñ mujh pe karam aap kā maulā nahīñ hotā
kyoñ nazr ke qābil dil-e-shaidā nahīñ hotā
kab tak dil-e-bīmār taḌaptā rahe aaqā
kyoñ lutf-o-karam us pe masīhā nahīñ hotā
tīr-e-nigah-e-yār kā kushta hai mirā dil
juz marham-e-dīdār vo achchhā nahīñ hotā
kyā ḳhaak mile us ko mazā ishq kā tere
duniyā meñ jo tere liye rusvā nahīñ hotā
kyoñ chhup ke chale jaate ho ham ġhair nahīñ haiñ
apnoñ se jahāñ meñ kahīñ pardā nahīñ hotā
kushta tirī duzdīda-nigāhoñ kā 'qamar' hai
rotā hai taḌaptā hai vo achchhā nahīñ hotā
wo sar nahin jis mein tera sauda nahin hota
aankhen nahin jin mein tera jalwa nahin hota
kyon mujh pe karam aap ka maula nahin hota
kyon nazr ke qabil dil-e-shaida nahin hota
kab tak dil-e-bimar taDapta rahe aaqa
kyon lutf-o-karam us pe masiha nahin hota
tir-e-nigah-e-yar ka kushta hai mera dil
juz marham-e-didar wo achchha nahin hota
kya KHak mile us ko maza ishq ka tere
duniya mein jo tere liye ruswa nahin hota
kyon chhup ke chale jate ho hum ghair nahin hain
apnon se jahan mein kahin parda nahin hota
kushta teri duzdida-nigahon ka 'qamar' hai
rota hai taDapta hai wo achchha nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.