wo shaKH-e-gul ki jo aawaz-e-andalib bhi thi
vo shāḳh-e-gul ki jo āvāz-e-andalīb bhī thī
huī jo ḳhushk to mere liye salīb bhī thī
dayār-e-sañg meñ sar phoḌtī phirī barsoñ
mirī sadā ki jo is daur kī naqīb bhī thī
jo sham.a duur thī us ne faqat dhuāñ hī diyā
usī kī lau se jalā huuñ jo kuchh qarīb bhī thī
sarisht-e-husn ajab hai ki vasl ke hañgām
nigāh-e-yār meñ kaifiyyat-e-raqīb bhī thī
sakūñ kahāñ ki maiñ āshob-e-fikr rakhtā huuñ
jo mahr thā to tamāzat mirā nasīb bhī thī
wo shaKH-e-gul ki jo aawaz-e-andalib bhi thi
hui jo KHushk to mere liye salib bhi thi
dayar-e-sang mein sar phoDti phiri barson
meri sada ki jo is daur ki naqib bhi thi
jo shama dur thi us ne faqat dhuan hi diya
usi ki lau se jala hun jo kuchh qarib bhi thi
sarisht-e-husn ajab hai ki wasl ke hangam
nigah-e-yar mein kaifiyyat-e-raqib bhi thi
sakun kahan ki main aashob-e-fikr rakhta hun
jo mahr tha to tamazat mera nasib bhi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.