wo sham Dhale tera milna wo tera hansana yaad nahin
vo shaam Dhale terā milnā vo terā hañsānā yaad nahīñ
jo terī rifāqat meñ guzrā ham ko vo zamānā yaad nahīñ
manzil hai kahāñ kuchh yaad nahīñ kis samt hai jaanā yaad nahīñ
ab terā pata ham kyā pūchheñ ḳhud apnā Thikānā yaad nahīñ
kyā tujh se bahāna koī kareñ ab koī bahānā yaad nahīñ
ham aa to ga.e mahfil meñ tirī par der se aanā yaad nahīñ
ai ahl-e-zamāna zid na karo vo daur purānā yaad nahīñ
ab un kī kahānī kyā kahiye ḳhud apnā fasāna yaad nahīñ
vo chāñdnī-shab phūloñ kī mahak vo ThanDī havāoñ ke jhoñke
tū itnī jaldī bhuul gayā mausam vo suhānā yaad nahīñ
vo raat vo bārish tūfānī us raat kā manzar yaad to kar
vo ik duuje ko mīThī Dish kyā tum ko khilānā yaad nahīñ
ilzām-tarāshī to 'sāġhar' duniyā kā purānā sheva hai
yūsuf pe zamāne kā tujh ko kyā uñglī uThānā yaad nahīñ
wo sham Dhale tera milna wo tera hansana yaad nahin
jo teri rifaqat mein guzra hum ko wo zamana yaad nahin
manzil hai kahan kuchh yaad nahin kis samt hai jaana yaad nahin
ab tera pata hum kya puchhen KHud apna Thikana yaad nahin
kya tujh se bahana koi karen ab koi bahana yaad nahin
hum aa to gae mahfil mein teri par der se aana yaad nahin
ai ahl-e-zamana zid na karo wo daur purana yaad nahin
ab un ki kahani kya kahiye KHud apna fasana yaad nahin
wo chandni-shab phulon ki mahak wo ThanDi hawaon ke jhonke
tu itni jaldi bhul gaya mausam wo suhana yaad nahin
wo raat wo barish tufani us raat ka manzar yaad to kar
wo ek duje ko miThi Dish kya tum ko khilana yaad nahin
ilzam-tarashi to 'saghar' duniya ka purana shewa hai
yusuf pe zamane ka tujh ko kya ungli uThana yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.